Ye jo ek sail-e-fana hai merey peeche peeche
Mere hone ki saza hai merey peeche peeche
Aage aage hai ,mere dil ke tootney ki sada
Aur meri gard-e-anaa hai merey peeche peeche
Zindagi thak ke kissi mod pe rukti he nahi
Kab se ye aabla-paa hai merey peeche peeche
Apna saaya tou mein darya mein baha aaya tha
Kaun phir bhaag raha hai merey peeche peeche
Paawon per paawon ko rakhta he chala aata hai
Mera naqsh-e-kaf- e-paa hai merey peeche peeche
Meri taarikyun se takra ke palat jaayegi
Ye jo jalta hua ek diya hai merey peeche peeche
Mei tou bhaga houn khud apni talaash mein naseer
Chaand kyun bhaag pada hai merey peeche peeche
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment